CORRECT LYRICS

Lyrics : Vijay

Aaj bhi is desh me gareebi ka hisaab nahi
Sapne to hai laakho magar padhne ko kitaab nahi
11 saal ki umar hai vijay karta hai kaam
Subah se leke sham, apne haalato ka gulam

Aur dikkat hai wahi, kyun ki khelna kudna iski kismat me nahi
Ye fasa jivan ke jaal me, dekhta hai ye gaadiyan makaan
Ye bollywood filme aur ye rehna chahta hai shaan se
Magar, maa baap majboor majdoor

Iske chote kandho par bhojh hai khoob
Roz sehni padti hai dhool, mitti aur dhoop
Sapne lagne lage hai jhooth
Vijay hai iska naam
Lekin iski jeet abhi hai durr

Wo din aayenge
Hum na sar jhukayenge
Hume ladna hai aaj
Taaki kal jeet hogi pass humare

Wo din aayenge
Hum na sar jhukayenge
Hume ladna hai aaj
Taaki kal jeet hogi pass humare
Vijay hua 16 saal ka 2 choti behne
Aur gharbar sambhalna padhna likhna sikh na paaya
Toh paise kе liye pareshan
Subah shaam kare kaam

Iskе sapne adhoore toh ye kaisa anjaam
Isme vijay ka kasoor nahi
Inko gareeb rakhte hai mantri
Jinke asool nahi voto ke liye bolte hai jhooth

Yhi bhrastachar ko karte majboot
Fir bhi milti hai chooth
Kanoon ke haatho se rahe durr
Wahi, parivaar ka bojh

Jab iske pass kya chara
Jivan kathor koi na bacha sahara
Kaise kare ye guzara
Bolun dobara, Ye sirf vijay ki kahani nahi hai

Ye hai hindustaan ki
Keemat kya jaan ki
Kahan saboot kya atoot
Yahan sehni padti hai bhookh
Kab milegi gareebi se chooth
Sapne lagne lage hai jhooth
Vijay hai iska naam
Lekin iski jeet abhi hai durr

Wo din aayenge
Hum na sar jhukayenge
Hume ladna hai aaj
Taaki kal jeet hogi pass humare

Wo din aayenge
Hum na sar jhukayenge
Hume ladna hai aaj
Taaki kal jeet hogi pass humare

Wo din aayenge
Hum na sar jhukayenge
Hume ladna hai aaj
Taaki kal jeet hogi pass humare

Wo din aayenge
Hum na sar jhukayenge
Hume ladna hai aaj
Taaki kal jeet hogi pass humare
Kal Jeet Hogi Pass Humare